Piles Meaning In Hindi पाइल्स मीनिंग इन हिंदी

Piles Meaning In Hindi
बवासीर मीनिंग इन हिंदी


Piles Bawasir ya Hemorrhoid ek khatarnak bimari hai . ise gupt rog bhi mana jata hai or jise yah problem hoti hai vo iske bare me khul ke baat karne se bhi sharmate hai .

India me or World me present time me Piles bahut bada rog ban chuka hai . Ek health report ke anusar world me 10% log Piles ki samasya se pareshan hai lekin batate ya share nhi karte hai.
Piles Meaning In Hindi

Piles Meaning In Hindi - Piles ko hindi me Bawasir (बवासीर) kaha jata hai. 
Iske alava ise मूलव्याधि , फिशर बवासीर, खुनी बवासीर, बादी बवासीर, होमोरोइड, महेशी, or अर्श bhi kaha jata hai. 
Piles Meaning In Hindi to hamne jaan lia hai, ab hum jante hai ki Piles hota kya hai ?

What Is Piles In Hindi - Hamari badi aant ke last ki 4 cm. ki sanrachana ko guda naal kahte hai. Iske andar chhoti chhoti manshpeshiyan hoti hai jinhe Hemorrhoid kahte hai, ye manshpeshiyan hamare Guda dwar me mal ko control karti hai.
Jab kisi bhi karab ki vajah se ye manshpeshiyon me sujan aa jati hai to guda dwar ke bahar ki taraf or andar ki taraf ganthe ho jati hai jinhe hi hum Piles ya Bawasir kahte hai .

Ab jaante hai Bawasir hone ke karan kya hai - 
Piles Bawasir Hone Ke Karan

• Mal tyag karte samay galat tareeke se bethna.
ye bawasir ka sabse bada karan hai, jb hum mal tyag karte hai to ydi hum ukdu hokar, matlab agar per par bhar de kar bethte hai to iski vajah se bawasir hona tay hai, agar aapki bhi yahi aadat hai to ise aaj hi badaliye.

• Tali hui cheejon ko jyada khane se Bawasir hone ki sambhavna badh jati hai.

• Aniyamit pachan kriya jaise kabj or anya pet sambhandhit samasya.
Agr aapko kabj ki samsya rahti hai to bahut adhik sambhavna hai ki aapko Bawasir ho sakta hai.

• Garbhavastha me hmari bdi aant par adhik dabav padta hai to garbhavastha me bhi Bawasir hone ki sambhavna hoti hai lekin agar Bawasir garbhavastha ke samay hua hai to vah thode samay baad apne aap thik ho jata hai.

• Jyada khade rahne vale log jaise bus conductor, post man etc. logon ko Bawasir hone ke chance jyada hote hai.

• Jyada bhar uthane vale log hai jaise kooli, weight lifters in logon ko bhi Bawasir hone ke chance jyada hote h.

• Motapa Piles ya Bawasir ka ek mukhya karan hai. Agr aap motape se grasit ho to aap ko Bawasir hone ke chance jyada hote hai, kyuki is se aapki badi aant par bahut jyada jor padta hai, jo bawasir ki badi vajah hai. 

Lambe samay tk bina hile dule ek hi jagah par kary karne vale logon ko bhi Piles hone ki sambhavna badh jati hai.


Ab jante hai ki 
Piles ya Bawasir kitne type ki hoti hai 
Type Of Piles In Hindi
Piles 2 type ki hoti hai -

1. Khooni Bawasir - Yah Bawasir ki starting stage hai. is samay Piles ki shuruaat hoti hai.
Isme shuru me guda ke aas paas halke laal rang ki ganthe hoti hai or baad me soch ke sath sath hlka khoon aane lgta hai, Iski next stage me soch ke sath ya soch ke baad khoon tapakta hai or baad me khoon pichkari ke roop me aata hai.
Is samay Masse me dard nhi hota hai ya fir halka halka dard hota hai. 

Shuru me to masse soch karne ke baad apne aap andar chale jate hai lekin purane hone ke baad ise hath se andar dalna padta hai.

2. Baadi Bawasir - Yah Bawasir ki peeda dayak stage hoti hai.

Is me pet me kabj rahti hsi or pet me jalan or dard bhi hota rahta hai.
Badi Bawasir me Piles guda ke andar ki taraf ho jate hai jis se Guda marg chhota pad jata hai or soch karne me pareshani hone lagti hai. Or ghav ho jata hai, jise Fisher kahte hai or yah bahut jyada takleef deta hai.


Ab hum jante hai Bawasir ya Piles ke lakshan kya hai ?
Piles Bawasir Ke Lakshan
Symptoms Of Piles In Hindi -

• Bawasir ka sabse pahla lakshan yah hai ki Bawasir hone par hmare guda dwar ke aas paas khujli karne ka man hota hai or hamari tivra ichha hoti hai khujli karne ki.

• Masse hona - Bawasir hone par sabse pahle aapki guda dwar par masse or ganthe hoti hai jo aakar me kafi chhoti hoti hai.

• Iske baad in masson ka colour laan rang ka ho jata hai.

• Bawasir me hone vale masson se khoon tapakna shuru ho jata hai, pahle to yah khoon boond boond ke roop me aata hai lekin yah baad me khoon ki pichkari ke roop me aata hai.

• Bawasir hone par aapko baar baar mal tyag karne ki samsya hoti hai or mal tyagne ke baad bhi aapko aisa lagta hai ki thik se pet saaf nhi hua hai or aap fir se mal tyagne jate hai to mal nhi aata hai.

• Bavasir ki vajah se mal tyagte samay aapko bahut jyada Pain or jalan hoti hai.


• Kabhi kabhi mal ke sath mucus bhi aata hai.

• Bawasir ki vajah se hamara kaam me man mhi lagta hai or manovikar bhi rahata hai.


Ab jante hai ki Bawasir ya Piles se bachne ke lie hmen kon konsi savdhaniyan rakhani chahie - 

Bawasir Ke Lie Savdhaniyan 
Precautions For Piles In Hindi - 
• Kabhi bhi mal tyagate samay apne pet par jor nahi de.
Kabhi bji udku hokar yani niche ki or jhuk kar soch tyag nahi karen, hamesha sidha rahne ki koshish karen. 

•Tali hui cheejon ka kam se kam use kare, agar aao Tali hui cheejen mahi khayenge to piles hi nhi aapki health me bahut jyada sudhar hoga. 
Agar ek healthy life chahte ho aaj hi Tala hua khana chhod den. 

• Jyada se jyada paani piyen, is se aapki sabhi health problems me help milegi.

• Daily exercise kare.
 •Hari sabjiyon ka jyada se jyada use karen.

To doston aaj humne jana ki - 
Piles Meaning In Hindi
What is Piles In Hindi.

Umeed hai aapko ye jaankari pasand aayi hogi, Agar aapka koi sawal hai to hamen comment box me jarur puchen.
जय माता जी री सा

अगर आपके पास कोई सुझाव हो या कोई लेख गलत हो तो सुझाव जरूर दें । अगर आपके पास आपकी कोई चिरजा छंद हो तो बताएं हम आपके नाम के साथ प्रकाशित करेंगे। आप अपनी कुलदेवी का यदि इतिहास जानते हो तो हमे बताएं ताकि सभी जान सकें। Comment जरूर करें इस से हमारा मनोबल बढ़ेगा । इंटरनेट पर करणी माता और हमारे देवियों के बारे में इतिहास चिरजा, भजन, और अन्य सामग्री बहुत कम मात्रा में उपलब्ध है और जो है वो पर्याप्त नहीं है, इसलिए ये एक छोटा सा प्रयास किया गया है, उम्मीद है आपको ये पसंद आएगा।।

Post a Comment

Previous Post Next Post