What is Piles in Hindi Bawasir kya hota hai in hindi बवासीर क्या होता है

Bawasir kya hota hai in hindi 
बवासीर क्या होता है ?
What is Piles in hindi.
Aaj ke samay me Bawasir ek bahut bda rog bn gaya hai, pahle to yah rog budhape me hi kuch logon ko hota tha lekin aaj kal javano or bachon ko bhi Bawasir ki samsya aa jati hai.

Bawasir kya hota hai ,what is Piles in Hindi

To aaj hum janenge ki-
बवासीर क्या होता है 
What is Piles in hindi.
Piles in Hindi.
Bawasir in English
Sansar me or bharat me Piles ke marij lagatar badh rhe hai.
Ek report ke anushar america me 50% log Piles se grasit hai.
Bawasir ko hi Piles or Hemorrhoid bhi kahte hai.

Bdi aant ke antim 4 cm ke bhag ko hi guda kaha jata hai.
Guda ke andr mashpeshiyan or nalikaye hoti hai, jb in mansapeshiyon par jyada dabav padta hai to inme sujan aa jati hai or yah ganth or masse ka roop le leti hai.
Is vajah se hmare guda dwar ka aakar sikud jata hai or iske sath hi guda dwar ke andar or bahar ki taraf ganthe ho jati hai jinhe hm Bawasir, Massa, Piles ya Hemorrhoid kahte hai.
Bawasir, Massa, Piles ya Hemorrhoid 2 type ki hoti hai-

1. Khooni Bawasir - yah Bawasir ki starting stage hai. is samay Piles ki shuruaat hoti hai.
Isme shuru me guda ke aas paas halke laal rang ki ganthe hoti hai or baad me soch ke sath sath hlka khoon aane lgta hai, Iski next stage me soch ke sath ya soch ke baad khoon tapakta hai or baad me khoon pichkari ke roop me aata hai.
Is samay Masse me dard nhi hota hai ya fir halka halka dard hota hai. Shuru me to masse soch karne ke baad apne aap andar chale jate hai lekin purane hone ke baad ise hath se andar dalna padta hai.

2. Badi Bawasir - yah Bawasir ki peeda dayak stage hoti hai.

Is me pet me kabj rahti hsi or pet me jalan or dard bhi hota rahta hai.
Badi Bawasir me Piles guda ke andar ki taraf ho jate hai jis se Guda marg chhota pad jata hai or soch karne me pareshani hone lagti hai. Or ghav ho jata hai, jise Fisher kahte hai or yah bahut jyada takleef deta hai.

Bawasir ya Piles ka mukhya karan bdi aant par adhik dabav lagana hai.
Yanha hm aapko Bawasir, Massa, Piles ya Hemorrhoid hone ka mukhya karan batate hai-

• tali hui cheejon ko jyada khane se Bawasir hone ki sambhavna badh jati hai.

• Aniyamit pachan kriya jaise kabj any pet sambhandh samasya.
Agr aapko kabj ki samsya rahti hai to bahut adhik sambhavna hai ki aapko Bawasir ho sakta hai.

• Garbhavastha me hmari bdi aant par adhik dabav padta hai to garbhavastha me bhi Bawasir hone ki sambhavna hoti hai lekin agar Bawasir garbhavastha ke samay hua hai to vah thode samay baad apne aap thik ho jata hai.

• Vah log jinka kary jyada khada rahne ka hota hai jaise bus conductor, post man etc. logon ko Bawasir hone ke chance jyada hote hai.

• Vah log jo jyada bhar uthate hai jaise kooli, weight lifters in logon ko bhi Bawasir hone ke chance jyada hote h.

• Iska mukhy or samany karan yah hai ki Soch karte samay ukdu hokar bethna mtlb, pet pr dabav dekar soch karna.
Aisa kabhi bhi nhi karen nhi to aap bawaske mariz ban sakte ho.

• Motapa Bawasir, Massa, Piles ya Hemorrhoid hone ka ek mukhya karan hai. Agr aap motape se grasit ho to aap ko Bawasir hone ke chance jyada hote hai.

• Lambe samay tk bina hile dule ek hi jagah par kary karne vale logon ko bhi Bawasir, Massa, Piles ya Hemorrhoid hone ki sambhavna badh jati hai.
To doston aaj hamne jana ki-
बवासीर क्या होता है 
What is Piles in hindi.
Piles in Hindi.
Bawasir in English

Umeed hai aapko yah jankari pasand aayi hogi. Agr aapka koi sawal hai to hame comment box me pooch sakte hai. Agr aapko yah jankari pasand aayi hai yo ise Share karna nahi bhulen.

जय माता जी री सा

अगर आपके पास कोई सुझाव हो या कोई लेख गलत हो तो सुझाव जरूर दें । अगर आपके पास आपकी कोई चिरजा छंद हो तो बताएं हम आपके नाम के साथ प्रकाशित करेंगे। आप अपनी कुलदेवी का यदि इतिहास जानते हो तो हमे बताएं ताकि सभी जान सकें। Comment जरूर करें इस से हमारा मनोबल बढ़ेगा । इंटरनेट पर करणी माता और हमारे देवियों के बारे में इतिहास चिरजा, भजन, और अन्य सामग्री बहुत कम मात्रा में उपलब्ध है और जो है वो पर्याप्त नहीं है, इसलिए ये एक छोटा सा प्रयास किया गया है, उम्मीद है आपको ये पसंद आएगा।।

Previous Post Next Post